Facebook Yorumları
  • comment image

    zahir ahmed zahir'den alınma kâbil türküsü. pakistan'ın tezenesi merhum nusret fatih ali han pek güzel havalandırırdı.

    o baygın bakışlara yemin olsun ki gitme ânı geldi
    kadehle sürahiyi çarpıştırma zamanı geldi

    tövbenin iffetini geri tepme zamanı geldi
    geldi artık, içip yalpalama zamanı geldi

    meyin tadını sana nasıl anlatayım zahit
    ey talihsiz adam, sen hiç içmedin ki

    *** **** ****

    mast aankhun ki kasam khane ka musam aa gaya
    jam ko shishe se takran ne ka musam aa gaya

    asmat-e-tauba ko thukrane ka musam aa gaya
    aa gaya pi kar baihak jane ka musam aa gaya

    aaj tauba ko ghataun ke hawale kardo
    aa gaya pi kar baihak jane ka musam aa gaya

    tauba to kar chuka tha magar phir bhi ae jalil
    kali ghata ko dekh ke niyat badal gayi
    aa gaya pi kar baihak jane ka musam aa gaya

    lutfe mai tujhse kya kahun zahid hai kambakht tune pihi nahi
    aa gaya pi kar baihak jane ka musam aa gaya

    ae weza tu sharab pi le na kar tu kuch ıjtanab pi le
    mein teri manun namaz par lun tu meri man ab sharab pi le
    aa gaya pi kar baihak jane ka musam aa gaya

    cham kar ke sawan aaya mein ke dar se bhagi tauba
    aa gaya pi kar baihak jane ka musam aa gaya

    phir ghata chaye baihak jane ka musam aa gaya
    jam ka shishe ka paimane ka musam aa gaya

    yeh fiza yeh chandni ratain, yeh daur-e-jam-o-mai
    mastiun mein gark hu jane ka musam aa gaya

    hu rahin hain jama ek markaz pe dil ki wehshatein
    hamnashin shayed bahar aane ka musam aa gaya

    muskarata hai koi chup chup ke dil ki aar mein
    hasratun ke raks farmane ka musam aa gaya

    rafta rafta wakiat-e-dard yaad aane lage
    chupke chupke ash barsane ka musam aa gaya

    mast aankhun ki kasam khane ka musam aa gaya


    (lairocse - 16 Ekim 2017 14:17)

Yorum Kaynak Link : mast aankhon ki kasam